Android App Icon & Name Kaise Change Kare

Android platform ki yahi bahut badi khaashiyat hai ki hum isey jaise chahe waise customize kar sakte hai chahe woh launcher ki baat ho ya fir custom rom ki sabkuch android phone mein possible hai. Aaj jo trick main aapko batane wala hu usse aap kisi bhi application ko apne hisab se customize kar sakte ho uska name aur icon change karke. Jaise ki whatsapp messenger ka aap name badal sakte ho aur icon bhi. Aisa karne se iss application dekhne wale dhoka kha jayenge lekin andar se sabkuch pahle ki tarah hi rahega matlab koi change nahi hoga, hai na majedaar trick ? So friends chaliye jante hai app icon & name kaise change kare
change app name icon
Aap logo ko lag raha hoga ki iss trick ke liye root ki jarurat padegi lekin friends aisa kuch nahi hai aap isey unrooted phones mein bhi istemaal kar sakte ho. Chahe whatsapp, hike, subway surf,  pokemon go aur bhi bahut tarah ke applications ke icon aur name aap apne hisab se set kar sakte ho. Aap iss trick ka use karke apne friends ke sath prank bhi kar sakte jaise ki apni photo aur name set karke aur aap unhe yeh keh sakte ho ki yeh app aapne banayi hai
So ab aapko pata chal gaya hoga ki aaj hum aapke liye konsi trick lekar aaye hai aur iss trick ke liye kya jaruri hai. Ab hum aage padhenge ki iss trick ko kaise perform karte hai. So koi ghabrane ki baat nahi hai humare baki android tricks ki tarah yeh bhi bahut simple hai. Aapko neeche steps ke sath screenshot bhi mil jayegi jisse steps samajhne mein aapko aasani hogi

Android App Icon & Name Kaise Change Kare:

1) Sabse pahle iss trick ko perform karne ke liye aapke phone mein apk editor install hona chahiye. Agar yeh app aapke phone mein install nahi hai toh yaha se install kar sakte ho
2) Apk editor application ko open kare
3) Ab aapko Apk file select karna hai, mere kehne ka matlab hai ki uss app ko select kare jiska aap icon aur name aap change karna chahte hai
change app icon name

change app icon name4) Jis app ko aapne select kiya hai uspe click karne par three option show honge unme se aapko common edit wale option par click karna hai
5) Ab aapke screen par uss app ke sabhi details aa jayenge jaisa ki aap neeche screenshot mein dekh sakte ho
change app icon name
6) Icon ko change karna hai toh default icon par click karke apne gallery mein mein se image select kare jiske sath aap default icon ko replace karna chahte ho. Agar name change karna hai toh app name ko delete karke dusra name enter kare

7) Save button par click kare aur sabhi changes save hone lagengechange app icon name
8) Ab thoda wait kare kyuki kuch second changes save hone mein lagte hai. Jab changes save ho jayenge tab kuch iss tarah show hoga jaise neeche screenshot mein dikhaya gaya hai
change app icon name
9) Install button par click kare aur ab aap isey install kar sakte ho. Aap chahe toh isey baad mein bhi install kar sakte ho

10) Aap isi trick ki madad se kisi bhi android application ka name aur icon aasani se change kar sakte hochange app icon name

Final Words:

So dosto jaisa ki maine aapko post start karne se pehle hi bataya tha ki yeh trick bahut jyada simple hai aapko bhi aisa hi laga na ? I know, ab aapki bari hai aap bhi app ke icon aur name change karke apne friends ko hairaan kar dijiye. Yeh trick aapke liye ab simple hogi lekin jinhe iske bare mein nahi pata woh log isey koi magic se kam nahi samjhenge. Agar aapko humara yeh post pasand aaya ho toh plkease isey jarur share kare
Previous
Next Post »

1 comments:

Write comments