Whatsapp kitna popular messenger hai shayad yeh mujhe batane ki koi jarurat nahi hai iss application ne play store par 1 billion install cross kar liye hai aap isi baat se iske popularity ka andaza laga sakte ho. Bahut dino se ek khabar sunne mein aa rahi thi ki whatsapp free video calling feature launch karne wala hai lekin kisi ko exact date nahi pata thi kyuki officially whatsappne kabhi yeh announce nahi kiya. But recently whatsapp ne apne video calling feature launch kar diya hai jiske madad se aap duniya bhar mein kisi se bhi live video chat kar sakte ho woh bhi bilkul free
Agar aap baki messengers dekhe toh unhone bahut pehle hi video calling feature launch kar diya tha lekin whatsapp ne iss feature ko launch karne mein thoda time laga diya waise iske piche ka reason toh mujhe bhi nahi pata. Agar aapko yaad ho toh isse pehle whatsapp ne voice calling featurelaunch kiya tha lekin usey bhi launch karne mein thoda time laga diya. Aajkal har koi iss application ka use karta hai aur ab video calling feature aane ke baad aap sabhi ko live chat karne mein aur bhi jyada maza aayega
Video calling feature aane ke baad yeh bahut bada fayda hua hai ki ab humein kisi dusre video calling app ki jarurat nahi padegi. But friends aisa nahi hai ki free calling aane ke baad aapka paisa kharch nahi hoga please iss baat ka dhyan rakhe ki video calling ke liye internet ki jarurat padegi aur internet use karne par aapka data jaldi consume hoga. So pehle sure ho jaye ki aapke phone mein sufficient internet data hai.
Agar aapke phone mein data available nahi ho toh pehle data recharge karwale kyuki without data agar aap calling karte ho toh aapka sim se main balance cut ho jayega. Agar aapke paas wifi ho toh wifi ka hi use kare. Most important baat ki agar aap 2G network use karte ho toh thik se calling nahi ho payegi isliye wifi, 3G, 4G network ka hi use kare
WhatsApp Free Video Calling Kaise Kare:
1) First and most important step ki aapka whatsapp updated hona chahiye kyuki yeh feature only latest version mein available hai. Neeche diye link se aap update ya download kar sakte ho
3) Aapka mobile number automatically verify ho jayega2) Ab apna mobile number enter kare
4) Apna name enter kare aur aapka account ready hai
5) Aap jis friend ko video call karna chahte ho uspe click kare
6) Sabse top mein calling icon hoga uspe click kare
7) Ab 2 options show honge first voice call and second video call
8) Aapko video call select karna hai
9) Ab aap apne friend ke sath free video calling kar sakte ho
EmoticonEmoticon