Mobile Phone Chori Hone Se Kaise Bachaye

Jab hum koi new phone kharidte hai uss time humare khushi ka thikana nahi hota lekin wahi phone agar koi chori karle tab bahut dukh hota hai. Bahut se logo ke personal photos, videos, data, informations mobile mein store hote hai aur agar woh chori ho jaye toh uska koi bhi galat istemaal kar sakta hai. So friends hum aisa kya kare jo humara mobile chori na ho, Simple hai bas iss post mein bataya hua tarika follow kare, mobile phone chori hone se kaise bachaye
phone chori
Daily bahut se logo ke mobile phone chori hota hai aur agar mobile jitna jyada expensive utna jyada loss itna hi nahi koi bhi chahe toh humare phone se humari informations churake galat tarike se use bhi kar sakta hai. Humein aaj ke time mein savdhan rahne ki jarurat hai kyuki kisi chor ke face pe nahi likha hota ki woh chor hai. So friends aaj main aapko ek aisa tarika bataunga jisse aap apna android phone chori hone se bacha sakte ho.
Yeh tarika bahut hi jyada simple hai iske liye bas aapko play store se anti theft alarm application install karna padta hai aur uss application ko activate karne ke baad agar koi bhi aapka phone touch karta hai yaa fir aapke pocket se nikalne ki koshish karta hai toh ek loud voice mein alarm bajna start ho jata hai jisse aapko pata chal jata ki koi aapka phone churane ki koshish kar raha hai. Anti theft alarm application ki ek aur badhiya feature hai ki agar koi aapke phone se sim nikalke dusri sim lagata hai toh uss person ki details aapko aapke mobile number/email par recieve ho jata hai

Mobile Phone Chori Hone Se Kaise Bachaye:

1) Apne android smartphone mein sabse pehle anti theft application install kare
2) Ab iss application ko open kare
3) Application ke settings mein jaye aur security option mein PIN/Pattern Password set karde

4) Password set karne ke baad fir se aap ke homepage par aa jayemobile phone chori
5) Aapko char tarah ke alarm dikhenge jinka kaam alag alag hai
mobile phone chori
6) Woh 4 alarms kuch kuch iss tarah se kaam karte hai
• Charger detection mode: Aisa bahut baar hota hai ki jab humare mobile ki battery low hoti hai toh hum usey public place mein bhi charging pe laga dete hai. So aise mein agar aap charger detection mode activate kar dete ho aur koi aapka phone charging se hatane ki koshish karta hai tab bahut loudly alarm bajne lagta hai aur aap chor ko pakad lete ho

• Proximity detection mode: Yeh mode unn logo ke liye jyada helpful hoga jo jyada time bus, auto, rikshaw, train jaise public transport ka use karte hai. Iss mode ko activate karne ke baad agar koi aapke pocket se aapka smartphone nikalne ki koshish karta hai toh alarm bajna start ho jata hai. Iss mode se aapko bheed-bhaad wale jagah par bhi madad milegi kyuki bheed-bhaad mein jyada phones pocket se chori kiye jate hai• Motion detection mode: Iss mode ka kaam bhi bahut accha hai yeh mode bhi humein chor ko pakadne mein madad karta hai. Motion detection mode activate karne ke baad agar koi aapke phone ko apne jagah se hilane ki koshish karta hai toh alarm bajna start ho jata hai jisse aapko chor ka pata chal jata hai
• Sim detection mode: Maan lo aapka phone agar chori ho gaya aur chor aapki sim nikalkar apni sim lagata hai toh aapko text message ke jariye phone ka imei, country, opertaor detail recieve jo jata hai. Iss mode ko use karne ke liye sabse pahle Sim detection mode par click kare aur apna name, emergency phone number aur email address enter karke usey save karde taki chor ke details aapko recieve ho sake
7) Jab tak aap correct PIN/Paattern password nahi enter kar dete tab tak alarm bajta rahega

Final Words:

So friends aap iss tarike se apna phone chori hone se bacha sakte ho. Yeh post unn har smartphone users ke liye important hai jo apna phone chori hone se bachana chahte hai. By the way yeh tarika aapki thodi iss kaam mein madad jarur karega lekin aapki mobile ki safety aapke haatho mein hi hai. Agar aapko humara yeh post pasand aaya ho toh please isey share jarur kare
Previous
Next Post »

2 comments

Write comments
3 September 2021 at 08:39 delete

New Web address:-https://gyannology.blogspot.com/2021/02/mobile-khone-chori-hone-pe-kya-kare.html

Reply
avatar