Android Aur IOS ke Features me Kia Difference hota hai



Smart Unlock me difference

Har koi apne smartphone ko secure banana chahta hai. iske liye lock screen pin code ya fingerprint lock ka use karta hai. lekin smart unlock ki facility mil jaye to kaam aur bhi asan ho jata hai. is mamle me ap android devices ko behtar maan sakte hain. iske liye stock android par apko settings me security and smart lock sections me jana hoga. iske bad ap apni security ko aur bhi strong bana sakte hain.

Continuity me difference

Apko apple me device aur plateform ke beech me ek close integration nazar aata hai jo google me dikhai nahi deta. agar IPhone aur Mac book apne operating system ke latest versions par run kar rahi hai to ap IPhone aur Mac books ke beech me copy aur paste bhi kar sakte hain.</div>

Spot light me diffrence

Searching ki baat aati hai to google master operator sabit hota hai, lekin apple ka IOS wide spot light search android ki har cheez se behtar hai. kuchh words likhen aur apko web par apne contacts me paas ki location par phone ki files se results milne lagte hain. google thoda behtar kaam karta hai, par puri tarah se nahin. apple ke pass 'universal search' patent hai. iska use apple ne samsung ke against kiya tha. isliye google is mamle me peeche hai.</div>

Launcher apps me difference

Android device par interface ko customize kar sakte hain. yeh sab launchers ki help se possible hai, but IOS users aisa nahin kar sakte. IOS device me uniform tarike se hi Icons nazar aata hai. starting se lekar ab tak isme koi change nahin hua hai.

Default app me difference

IPhone ko launch hue 10 years ho gaye but ab bhi users link ko Safari ke alawa kisi dusre browser me open nahin kar sakte hain. isi tarah apko by default e-mails ko mail me aur pictures ko photos me hi open karna padega, but android me aisa nahin hai yahan ap apne default browser, SMS client ya kisi anya cheez ko asani se change kar sakte hain.

I message me difference

Jaruri nahi ki har user ki pasand I message ho par yeh apple ke sabhi products ke beech me communication ko sink karta hai. app ke andar bhi built in encryption hai. google hang out iska jawab ho sakta hai, but ab google ello aa gaya hai. yeh mobile par kaam karta hai. isme by default end to end encryption turn on nahi hota hai.
Previous
Next Post »

1 comments:

Write comments
Unknown
AUTHOR
25 September 2021 at 03:57 delete

RehanMalik0353419@gmali.com



Reply
avatar