Android Phone Ki Ram Kaise Badhaye

So friends aaj jo trick main aap sabhi logo ke liye lekar aaya hu woh main gurantee ke sath keh sakta hu ki aapko jaroor pasand aayega. Aap logo ne kabhi socha hai ki android phone ki ram bhi badhayi ja sakti hai ? Nahi na ? But guys aisa bilkul possible hai aap chahe toh apne android phone ki ram 4 GB tak badha sakte ho, Lekin iss trick ke liye aapka phone rooted hona chahiye. Ram badhne ke bahut se fayde hai jaise ki ram badhane ke baad hum high graphic wale games bhi apne phone mein khel sakte hai aur humara phone hang bhi nahi hoga itna hi nahi ram badhane ke baad hum ek sath bahut se apps bhi open kar sakte hai toh chaliye jante hai ram kaise badhaye
ram kaise badhaye
Ram kaise badhaye ? Agar aapke mobile phone ka version outdated hai so i’m sure aapke phone ka ram bhi jyada nahi hoga don’t worry aap isey 4GB tak increase kar sakte ho. Aapko iss trick se bahut se fayde milne wale hai jaise ki aap heavy games aur apps apne mobile phone mein easily chala sakte ho bina kisi lagging issue ke. By the way jis app se hum ram badhayenge uss app ka naam roehsoft ram expander hai aur yeh app play store par aapko mil jayega jaska cost 150 Rs hai maje ki baat toh yeh hai ki play store par iss app ki rating 4.4 hai aur jyadatar reviews bhi positive hai isse yeh saaf pata chal jata hai ki yeh app puri tarah genuine hai
Aajkal jitne bhi smartphones release ho rahe hai unme at least 1GB ram rehta hai lekin jo purane smartphones hai unme 1GB se bhi kam ram hota hai jiske wajah se woh android phone mostly time hang ho jata hai kyuki aajkal jo apps aur games release ho rahe hai woh jyada ram wale phone ke liye bante hai aur kam ram wale phone mein woh hang ho jate hai isliye jaruri hai ki hum apne mobile phone ka ram badhaye. Ab time waste kiye bina chaliye jante hai ram kaise badhaye

Android Phone Ki Ram Kaise Badhaye:

1) Aapko pehle ek app download karna padega jiska name roehsoft ram expander hai aur yeh playstore pe 150 Rs mein available hai
2) Ab iss app ko apne mobile mein install kare uske baad isey open karle jo ki bahut hi aasan step hai
3) Ab aapse root permission manga jayega so please isey allow ya fir grant kar dijiye warna yeh trick kaam aapke phone mein kaam nahi karegi

ram badhaye4) Aapko ab ek option dikhai dega SwpFile ka usey apne hisab se select kare isey aap 4 GB tak badha sakte ho aur yahi aapke ram ke roop mein kaam karega
5) SwpFile select karne ke baad aapko Swap Active ka option dikhai dega jo ki sabse top mein hai uspe click kare
6) Ab aapko select karna hai ki swap file aap kis location par create karna chahte ho jaise ki internal ya external storage. Dhayan rakhe jitna aapne swap file select kiya hai utna space swap file aapke storage se le legi
ram badhaye

ram badhaye7) Again aapko Swap Active option par click karna hai uske baad swap file create hone lag jayega
8) Jab swap file create ho jayega tab fir se aapko Swap Active par click karna hai uske baad swap file jo aapne create kiya hai woh active ho jayega aur ek tarah se yeh ab aapke phone ke virtual ram ki tarah kaam karega. Ab aap kisi bhi heavy game ya app ko apne mobile mein bina kisi problem ke chala sakte ho
I hope aapko pata chal gaya hoga android phone mein ram kaise badhaye. So friends iss tarike se aap apne phone ki ram 4GB tak badha sakte ho. Bahut se log iss application ko paid hone ki wajah se nahi lena chahte lekin 150 Rs jyada nahi hai iske badle aap apne phone ki ram badha sakte ho isliye main aapko suggest karunga ki aap iss application ko buy karle play store se
Please Note:

  1. Android Phone Ki Ram Kaise Boost Kare:
    Yeh ek tarah ka virtual ram hai aur yeh aapko show nahi hoga kyuki yeh apke sd card mein store hai
  2. Yeh trick sirf rooted phones ke liye hai aap iss trick ka use kisi unrooted phone mein nahi kar sakte
  3. Ram expander app ek paid app hai jiska cost google play store par 150 Rs hai
  4. Aap iss trick ko sirf android version 1.6 ya isse upar ke versions mein hi use kar sakte ho
  5. Ram expander application only swap supported phones mein work karega
Upar jo maine ram badhane ka tarika bataya woh paid method tha lekin ab jis method ki hum baat karenge woh free method hai. Iss post ke baad bahut se logo ka mujhe request mila unka kehna tha ki unke paas onliye payment ke liye koi card nahi hai aur woh ram expander application nahi kharid sakte toh maine socha iss post mein free method bhi dena chahiye so friends yaha par main aap sabhi ke request par free method post kar raha hu jisse aap ram badha toh nahi sakte lekin boost jarur kar sakte ho yeh unke liye bhi helpful hai jinka mobile swap file support nahi karta aur woh ram expandar ka use nahi kar pa rahe agar aapka phone rooted nahi hai fir bhi aap ram boost kar sakte ho toh chaliye jante hai kaise
#Clean Master:
Clean android phone ke liye sabse badhiya application hai jo mere hisab se har kisi ke phone mein install hona chahiye. Clean master ke bahut acche features hai jaise ki isse aap apne phone ke junk clean kar sakte ho, internal storage badha sakte ho, task aur cache bhi clean kar sakte ho. Clean master mein pehle se hi antivirus rehta hai jo aapke phone ko virus se bachata hai
#DU Speed Booster:
Clean master ke baad agar koi badhiya app hai toh uska naam DU Speed Booster hai. DU Speed Booster mein bahut se features aapko mil jayenge jaise ki app manager, antivirus, one click accelerator, privacy advisor, internet speed meter aur bhi bahut se features iss application ke andar mojood hai. DU Speed Booster aapke phone ka speed fast kar deta hai jiske wajah se aapke phone ka performance bhi high ho jata hai

Memory booster application ki madad se aap apne phone ka ram one click mein boost kar sakte ho. Baki sabhi apps ki tarah isme bhi bahut se features hai jaise ki real time ram usage, speed booster, startup boost, cache cleaner, garbage collector, auto boost etc. Yeh aap aapke phone ki speed fast kar deta hai#Memory Booster:

Final Words:

So friends inn tariko se aap apne phone ki ram badha bhi sakte ho aur boost bhi kar sakte ho ek hi post mein humne do baatein jaan gaye first ram kaise badhaye aur second ram kaise boost kare. Aap sabhi ko inn apps ka use apne phone mein jarur karna chahiye taki aapka phone kabhi hang na ho. Aajkal ke smartphones mein aapko jyada ram toh mil jayenge lekin unme privacy, antivirus, ram booster, junk cleaner jaise features nahi hote so iske liye aap humare upar bataye huye applications ka use kar sakte ho. Agar aapko humara yeh post pasand aaya ho toh isey share jarur kare
Previous
Next Post »

2 comments

Write comments