How To Find Lost SmartPhone: Google Ki Help Se Trace Karein Apna SmartPhone

Aaj Smartphones aur Smartphones users ki sankhya India me ya yun kahein Globally bahut teji se badh rahi hai. Agar India ki baat karein akele apne desh me 300 million smartphones users hain jo 50% teji se badh rahe hain. Aaj ke post me aap janenge How To Find Lost Smartphone. Google Ki Help se apna smartphone kaise trace karenge.


Apne India me Smartphone ka Lost ho jaana koi nai baat nahi hai. Agar main Khud ki baat karu to 6 phones abhi tak khud mera kho chuka hai. Kai baar to phone hum kisi friend, Shop, Library office ya ghar me hi rakh kar bhul jaate hain. Maine bhi apne 2 phones college ki library me khoye hain. Lekin jo main aapko batane jaa raha hu ush ko padh kar samjh payenge How To Find Lost Smartphone.
Google Ki Help se Lost smartphone dhundhna bahut easy hai bus aap in steps ko follow karein.

How To Find Lost SmartPhone With Help Of Google?

Google Ki Madad Se Apne Khoye Huye Smartphone Ko Kaise Dhundhen?

Step :1 Agar aapka Phone Kho gaya hai to sabse pehle apne Laptop ya kisi other PC google Ke home page par aayein aur Login kar lein. Login aapko usi email id se karna hai jissey aapka khoya hua phone login tha.


Step:2 Ab Google Me Search Bar me Type karein “Where is my Phone” or “Find My Device”. Iske baad Sign in ka option aayega aap same id se sign in kar lein.
Step 3. Aapke Samne “Google Maps” Open ho jayega Janha aapki phone ki current Location ya location show ho jayegi.
Yanha Sidebar me Sabse Top par wo un Phones ki list jish par aapne isi email id se login kiya tha. Yanha aap saath me ye bhi dekh payenge ki aapke phone ki battery percentage ky hai.
Play Sound : Maan liya aapka phone Garden me ya kanhi ghar me hi gum ho gaya hai to aap yanha se play sound par click karke ring notification bhej sakte hain phone automatically ring honi suru ho jayegi. Agar aapka device silent me bhi hai to koi baat nahi 5 min tak ring bajegi hi.
Lock: Agar aap phone lock nai kar paye they khone se pehle to usko yanha se lock kar sakte hain. Fir aapke phone ke data ka koi missuse nai kar payega.
Erase: Agar aapko lagta hai ki aapke phone ke data ka koi misuse kar raha hai ya kar lega to aap ush data ko yanha se erase kar paynege.
To dekha aapne phone ko locate karne kitna aasan hai. Lekin saath hi kuch Tips bhi main yanha dunga jisko aap humesha yaad rakhein.
My Opinion:
Aap Humesa Phone ko lock kar ke rakhein. Kyunki agar aapka phone chori hua hai aur usne aapke ko direct format ya switch off kar diya to bus aap last location hi map par dekh payenge. Phone Format hone ke baad na to ush par ring jaa pyegi na hi usko aap lock kar payenge aur na hi data erase kar payenge.
To jaise hi aapko pata lage aapka phone kho gaya hai ya chori ho gaya to sabse pehle apne phone ko yanha se ring karke dhundhne ki kosis karein ya usko erase ya lock kar dein. Aur Police me FIR karke iski information dein.
Waise ye tarika 100% work nahi karta lekin kuch hadd tak aapke lost smartphone ki information de sakta hai. To dekha aapne How To find Lost Smartphone with Help of Google.

Previous
Next Post »

2 comments

Write comments