Android Phone Ki 6 Common Problems Solution Ke Sath

Android phone aajkal sabse jyada use hone wala smartphone ban chuka hai aur yeh baki smartphones ke mukable saste daam mein jyada features deti hai aur iske jyadatar applications free hote hai yeh sabse badhiyaan baat lagti hai mujhe android ki. Hum mein se bohot kam log hi hai jo apne phone ki care achhe se karte hai lekin jo jyada care par dhayan nahi deta aur jaise marji use karta hai toh usey kuch problem ka samna karna pad sakta hai but don’t worry aaj hum inhi common problems ke upar baat karenge unke solution ke sath
android problem solution
Dosto jaisa ki aapko pata hai humara blog mostly android tricks share karta hai jiske wajah se humare blog par mostly android users visit karte hai. Daily humse ek jaise question puche jate hai so humne socha kyu na ek post likha jaye jiske andar sabhi android problems ka solution ho aur humne iss idea ko follow kiya aur aap sabhi ke liye yeh post tayar kar diya. Main yeh nahi bol raha ki jitni bhi problems hai main unn sabhi ke solutions iss post mein add kar raha hu lekin jitne bhi common problems hote hai unke solution aapko humare iss post ke andar mil jayega

6 Common Problems Of Android With Solution:

1) #Fast Battery Drain:
Sochiye aapne 1-2 hour lagatar battery charge ki lekin fir bhi 1 hour ke andar hi mobile ki battery khatam ho jaye toh kisi ko bhi ghussa aayega. Iss problem se deal karne ke liye aap sabse pehle toh unn apps ko uninstall karde jinki aapko jarurat nahi. Mobile chalane ke baad recent apps ko clear karde kyuki yeh battery bohot jyada khati hai. Apne phone ki brightness kam karke rakhe taki battery bhi bache aur aankho par jyada effect bhi na pade. Live wallpapers nahi lagaye toh badhiyaan hai kyuki yeh hamesha move karte rehte hai jiske karan battery jaldi khatam ho jati hai
2) #Overheating Issue:
Aapne bohot baar notice kiya hoga ki aapka mobile dheere-dheere garam ho raha hai lekin kya aapko pata hai mobile kyu garam hota hai ? Aapko main kuch tips bata deta hu jise follow karke aap apne phone ko garam hone se bacha sakte ho
  1. Sabse pehle toh aap unn apps ko uninstall karde jinki aapko jarurat nahi sirf unhi apps ko apne phone mein rakhe jinki aapko jyada jarurat padti ho
  2. Aisa koi game na khele apne phone mein jo aapka phone support nahi karta ho. Jab bhi aap koi game install karte ho uske requirement padh le ki wo kitne MB ram par kaam karta hai, Kaunse processor ki jarurat padti hai etc. Agar aapka phone HD games nahi suppprt karte toh aap unhe jabardasti chalane ki kosish na kare toh behtar hoga
  3. Jab aapka phone charge ho raha ho tab uske sath koi chedkhani na kare bohot se log charge mein laga ke surfing, gaming, movies aur videos dekhte hai unko iss baat ka dhayan rakhna chahiye ki aisa karne se unke mobile ki battery jaldi garam ho jayegi jiske karan wo explode bhi ho sakta hai
  4. Mobile ko jyada time tak charge mein na laga ke chhode jab charge complete ho jaye tabhi switch off karde
  5. Aapke phone mein jitne bhi junk files hai unhe hata de iske liye aap clean master application ki madad le sakte ho
3) #Force Close Problem:

4) #Hanging Issue:
Yeh aisa problem hai jo bohot se karano se hota hai jo sabse most common karan hai wo yeh ki ek sath jyada apps use karna isko fix karne ke liye aap Settings mein jaye uske baad Apps mein jaye fir uss app ko select kare jo force close ho raha hai ab uska data aur cache clear karde. Agar aapke phone mein yeh problem sare apps ke sath ho raha hai toh apne phone ka backup banake factory reset karke dekh le
Kisi ko bhi pasand nahi ki unka phone lagatar hang ho isko fix karne ke liye aap inn tips ko follow kare
  1. Jitne bhi apps aapke phone mein hai unka chache clear karde iske liye aap Settings>> Apps>> Ab app ko select kare>> Clear cache par click karde
  2. Jo bhi 3rd party app aapke phone storage mein save hai unko micro SD card mein transfer karde iske liye aap Settings>> Apps>> Ab app ko select kare>> Move to SD Card par click karde
  3. Faltu ke applications ko uninstall karde jinki jarurat aapko nahi hai
  4. Agar yeh sab karne ke baawjood abhi bhi phone hang ho raha hai toh factory reset karke dekh le lekin usse pehle apne mobile ka full backup karle
5) #Charging Issue:
Bohot baar aisa hota hai ki lakh kosish karne ke baad bhi hamara mobile charge nahi hota aise condition mein sabse pehle yeh check kare ki charging socket se current flow ho raha hai uske baad yeh check kare ki cable damage toh nahi hai. Agar inme se koi problen nahi hai toh aapko service center jana chahiye

Bohot baar aisa hota hai ki jo hum data pack ka recharge karwate hai wo validity se pehle hi khatam ho jata hai iske liye main aapko kuch tips bata deta hu jo aapke kaam aayegi6) #Fast Data Consume:
  1. Aisa browser use kare jo pages aur images ko compress karke show kare inse aapka data bachega hi sath mein time bhi save hoga. Agar aap chrome browser chalate hai toh data saving mode ko on karde ya fir opera mini use kare yeh kafi fast browser hai aur 2G network mein bhi teji se kaam karta hai
  2. Jab aap internet ka istemaal karle tab data connection off karde isse aapki battery aur data dono bachega
  3. Agar aap android mein games khelte ho toh koi aisa game khelo jo offline bhi kaam karta ho
  4. Agar aap whatsapp calling feature ka use karte ho toh isey follow kare data usage kam karne ke liye Settings>> Data usage>> Low data usage ko on karde. Ab whatsapp calling ke dauran aapka data jyada consume nahi hoga

Final Words:

I hope aapko humare iss post mein apne problem ka solution mil gaya hoga. Maine isme jitne bhi solutions android phone se related bataye hai woh tested hai matlab yeh solution jarur kaam karengi aur main ummid karta hu ki aapka poroblem bhi solve ho jayega. Agar aapko humara yeh post pasand aaya ho toh please isey share jarur kare
Previous
Next Post »

1 comments:

Write comments
seoexpert
AUTHOR
4 October 2020 at 13:47 delete

I also wrote an article on a similar subject will find it at write what you think. tecnonautas

Reply
avatar