Android Phone Ki Internal Memory Kaise Badhaye

Sabhi ko low internal memory ke wajah se bahut se problems hote hai jaise ki ab woh big files apne phone mein nahi daal sakte aur naahi big applications phone mein install kar sakte hai. Agar hum external memory ki baat kare toh woh humare choice par depend karti hai aur hum jab chahe usey replace kar sakte hai dusre memory card ke sath lekin internal memory mein aisa kuch nahi hota usey hum replace nahi kar sakte. So yeh ek problem ho jati hai smartphone users ke liye isliye aaj main aapko iss post mein yeh bataunga ki mobile phone ki internal memory kaise badhaye
internal memory badhaye
Bahut se log apne phone ki internal memory ke wajah se pareshan rehte hai aur woh yeh sochte hai ki isey nahi badhaya ja sakta lekin yeh bilkul galat hai aap chahe toh isey easily badha sakte ho, Aaj hum iss post mein isi topic par baat karne wale hai aur main yeh guarantee ke sath keh sakta hu ki post khatam hone ke baad aapko iss problem ka best solution mil jayega

By the way dosto mere paas 2 tarike hai internal memory badhane ke liye first method unke liye hai jinka phone rooted hai aur second method unke liye hai jinke paas unrooted phone hai. Dosto bahut se log rooted phone use nahi karte unke liye memory increase karna thoda mushkil jata hai bahut se log sochte hai bina rooted phone ke hum internal memory nahi badha sakte lekin yeh baat puri tarah se galat hai aur main iss post mein unn sabhi logo ko galat proof karne wala hu so mujhe lagta hai yeh post kafi interesting hone wala hai aap sabhi ke liye isliye iss post ko acche se padhe i hope aap sabhi ko humara yeh post jarur pasand aayega

Android Phone Ki Internal Memory Kaise Badhaye:

Method 1: Using Link2SD Application (Rooted Users)
1) Yeh method only rooted phone ke liye hai
2) Sabse pehle aapko apne phone mein Link2SD app install karna hai jiski link neeche di gayi hai

4) Aapko ab apne phone mein installed sabhi apps dikhai dengi3) Now open link2sd app
5) Jo bhi app jyada space le raha ho usey select kare
6) Ab neeche scroll kare aapko move to sd card ka option show hoga uspe click kare
internal memory badhaye
seconds mein woh app aapke internal memory se external memory mein save ho jayegi
8) Yahi tarika follow karke aap baki ke apps bhi internal memory se hata sakte ho
9) Aap isi tarike ko follow karke apne phone ki internal storage badha sakte ho
10) Ab aapko kuch aur bhi settings karni hai link2sd application ke andar so aage ke steps bhi follow kare
11) Sabse pehle link2sd app open kare aur top right side mein 3 dots dikhai denge uspe click kare

13) Ab aap link2sd ke settings mein pahuch jaoge12) Settings wala option select kare
14) Apni mobile screen neeche scroll kare tab aapko install location ka option show hoga
internal memory badhaye
13) Install location ka option select kare
14) Ab install location external location select kare
internal memory badhaye

So friends yeh jo trick humne abhi padhi woh rooted phone ke liye thi lekin jaisa ki hum sabhi jante hai sabhi apna phone root nahi karna chahte kyuki phone root karne ke baad warranty loss ho jati hai isliye dosto chaliye jante hai unrooted phone mein internal memory kaise badhaye15) Yeh step complete karne ke baad aap jo bhi application apne phone mein install karte ho woh automatically external memory mein save ho jayegi
Method 2: Modify Phone Settings (Unrooted Users)
1) Agar aapka phone rooted nahi hai toh aap iss trick ko follow kare yeh bhi bahut simple trick hai so let’s go
2) Sabse pehle apne phone ke settings mein jaye. Yeh option aapke phone menu mein available hoga
3) Ab applications option par click kare yeh option bahut se phone mein apps ke naam se bhi jana jata hai lekin dono ka matlab same hota hai
4) Ab downloaded option mein aapke phone ke andar jitne bhi apps available honge woh show ho jayenge

5) Kisi bhi application par click kare jo jyada size mein ho aur aapke phone mein jyada space le rahi hointernal memory badhaye
6) Aapko move to sd card ka option show hoga uspe click kare
internal memory badhaye
7) Hurray ab woh app aapke internal memory se external memory mein save ho jayega

9) Ab hum yeh janenge ki jo bhi app hum install karenge woh automatically external memory mein kaise save kare so chaliye yeh bhi jante hai8) Aap isi tarike se dusre apps ko bhi external memory mein save kar sakte ho aur internal memory ka size badha sakte ho
10) Phone settings ke andar enter kare
11) Ab storage option par click kare
12) Preffered install location ka option sabse top mein show hoga uspe click kare
internal memory badhaye

internal memory badhaye13) Ab apna install location removable sd card select kare aur ok button par click kare
14) Ab sabhi apps install hone ke baad external memory mein save ho jyenge aur aapke internal memory ka space use nahi hoga

Final Words:

So friends yeh the 2 methods jinki madad se aap internal storage ki space badha sakte ho. By the way ek aur tarika hai jiski madad se aap actual mein apne phone ki internal memory badha sakte ho lekin woh method bahut confusion create karne wala hai isliye main woh method abhi share nahi kar raha hu lekin aane wale time mein iss post ko update karne ki puri koshish karunga new trick ke sath so please connected with us. I hope aapko yeh post jarur pasand aaya hoga so please share this post
Previous
Next Post »

1 comments:

Write comments