WhatsApp Par Auto Reply Kaise Kare

Hey friends aajkal jyadatar smartphone users whatsapp chalate hai aur aaj ke iss daur mein har banda busy hai, isliye jaruri nahi hai ki woh banda har baat ka reply de sake, Am i right ? So friends iss condition mein humein ek robot ki jarurat padti hai jo humare absense mein logo ko humare taraf se auto reply kar sake isliye main yeh post likh raha hu. Aaj main aapko iss post mein yeh bataunga ki kaise aap whatsapp par auto reply kar sakte ho aur aapko iss trick mein agar koi problem ho toh comment jarur kare mujhe help karne mein khushi hogi, So guyz chaliye jante hai yeh kaise hota hai
whatsapp message
Sabse pehle toh aap yeh janle hai ki iss trick ke liye aapka android phone rooted hona chahiye agar aapka phone rooted nahi toh yeh trick aapke phone mein kaam nahi karegi. Dusri chij jo aapko chahiye woh hai AutoResponder application jise google play se install kiya ja sakta hai. Aaj jo hum trick perform karne wale hai woh autoresponder application ki madad se hi possible hai

WhatsApp Par Auto Reply Kaise Kare:

1) Sabse pehle aapko AutoResponder application apne phone mein install karna hai. Yeh application free & paid dono hai lekin hum free application ki link provide kar rahe hai paid app aapko playstore par search karne par mil jayega
2) Ab iss app ko open kare aur jab yeh aapse root permission mange toh isey grant karde. Agar aapka phone rooted nahi hua toh aapke phone mein yeh trick work nahi karegi
3) Enable/Disable ka option aapko dikhai dega uspe click kare
4) Ab aap accessibility setting mein aa jaoge waha par aapko ChatBotLite ka option dikhega uspe click karke usey enable karde

5) AutoResponder enable karne ke baad aapko Rules button par click karna haiwhatsapp auto reply
whatsapp auto reply
6) Ab add new rule par click kare
7) Aapko kuch option dikhai denge unko kuch iss tarike se bharna hai

• Answer Message:
 Iss option mein aapko yeh dalna hai ki reply mein kya jana chahiye• Recieve Message:
 Aapko iss aapko mein yeh dalna hai ki kaunsa message recieve karne par auto reply jana chahiye
• Specific Contacts: Isme aap unn contacts ko chun sakte ho jinko aap auto reply karna chahte ho. Agar yeh option aap khali chhodte ho toh auto reply sare contacts ko kiya jayega
• Ignored Contacts: Isme aap unn contacts ko chun sakte ho jinhe aap auto reply nahi karna chahte
8) Sare options fill karne ke baad niche add button par click karke rule add kar dijiye

10) Aap free version mein 3 se jyada rules add nahi kar sakte. Paid version mein aapko bohot se features milte hai sath hi aap unlimited rules bhi add kar sakte ho lekin iska cost Rs 180 hai9) Aapka rule add ho chuka hai ab aapne jaise bot mein setting kiya hai usi hisab se logo ko auto reply jayega

Final Words:

Dosto dekha aapne yeh trick kitna simple hai. Ab aap apne liye chat robot bana sakte ho aur woh robot aapke absence mein aapke friends ke sath chat karega aur unhe lagega ki aap hi unse chat kar rahe ho. Agar aapko humara yeh post pasand aaya ho toh please isey share jarur kare
Previous
Next Post »

3 comments

Write comments
Luck City
AUTHOR
23 September 2018 at 01:34 delete

Very informative post! There is a lot of information here that can help any business get started with a successful social networking campaign. hot whatsapp group links

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
18 February 2019 at 03:55 delete

Hello, this weekend is good for me, since this time i am reading this enormous informative article here at my home. GBwhatsapp Latest Version

Reply
avatar