Internet Speed Kaise Check Kare in Smartphone

Aap mein se bahut se log yeh janana chahte hai ki unke smartphone ki internet speed kitni hai. Internet speed aapke cellular network aur phone dono pe depend karti hai ki aap 2G, 3G, 4G, wifi kya use kar rahe ho. Hum mein se bahut se logo ko yeh pata nahi hota ki unhe actual speed se kitni kam speed mil rahi hai aisa mein unhe jaruri hai woh apne network ki internet speed check kare, By the way aise bahut se applications mojood hai jinse aap internet speed pata laga sakte ho lekin hum sabse popular application ka use karenge jiska naam Speedtest hai
internet speed check test
Speedtest application bilkul free hai jise install karne ke baad aap apne phone ki download aur upload dono ki speed pata laga sakte ho. Speedtest sirf 30 seconds ke andar result show karta hai jo ki bilkul accurate hoti hai. Mere hisab se sabhi logo ko apna internet speed check karna chahiye taki unhe yeh pata chal jaye ki unke area mein kis company ka internet sabse fast hai. So friends chaliye jante hai internet speed kaise check kare

Internet Speed Kaise Check Kare in Smartphone:

1) Sabse pehle aapko apne smartphone mein speedtest application install karna hoga. Yeh androidiphone aur windows phone teeno platforms pe ke liye available hai. Aap jo bhi operating system use karte ho uske liye download kare
2) Install karne ke baad isey open kare
3) Ab aapko ek option show hoga Begin Test ka jispe aapko click karna hai. Agar aap test begin nahi karte toh speed testing start nahi hogi
internet speed check test
4) Speed testing start ho jayegi jisme at least 30 seconds lagega. Agar testing mein jyada time lag raha hai toh test cancel karde aur testing again restart kare

internet speed check test5) Testing khatam ho jaane ke baad download aur upload speed aap dekh paoge. Aap chaho toh apna internet speed apne dosto ke sath share bhi kar sakte ho iske liye share button par click karna hoga
6) Aap chahe toh test restart bhi kar sakte ho iske liye restart test button par click karna hoga

Final Words:

Dosto yeh post sabhi ke liye helpful hai jo apne area mein internet speed check karna chahte hai. Bahut baar company claim karti hai ki humare internet speed jitna aur koi speed nahi de sakta so aap agar uski sacchai janana chahte ho toh yeh tarika aapke bahut kaam aane wala hai. So friends i hope aapko humara tarika jarur pasand aaya hoga so dosto iss post ko share karna mat bhulna
Previous
Next Post »

2 comments

Write comments
Charlesday
AUTHOR
24 November 2020 at 06:12 delete

Easily, the article is actually the best topic on this registry related issue. I fit in with your conclusions and will eagerly look forward to your next updates. wow custom speed test

Reply
avatar
Truthhindi
AUTHOR
11 July 2021 at 10:01 delete

बोहोत ही अच्छे तरीके से सरल भाषा मैं समझाए है.में आपकी ब्लॉग रोज पढ़ता हु. Thank you sir.

Reply
avatar