Android phone format kaise kare ? Android phone hard reset kaise kare ? Actually iska answer har android user ko pata honi chahiye agar aapko nahi pata toh koi baat nahi bas aapko humara yeh post follow karna hai aur aapka phone format ho jayega. Dosto aaj iss post mein main aap sabhi ko phone format karne ke two tarike bataunga. First tarika jo hoga woh aap simply settings ke option mein jakar perform kar sakte ho lekin second tarika jo main aapko bataunga woh unn logo ke liye hoga jinka phone restart nahi ho raha yeh tarika chahe toh woh log bhi follow kar sakte hai jinhe apne phone se pattern lock hatana hai. So friends main ummeed karta hu ki yeh post aap sabhi ko pasand aayega, toh chaliye jante hai phone format kaise kare
Sabse pehle toh yeh jaan lete hai ki hard reset jise hum factory reset ke naam se bhi jante hai yeh kya hota hai. So friends hard reset ek tarah ka process hota hai jise perform karne par humara phone apne original state mein aa jata hai matlab aapka phone manufacturer ke taraf se jaisa aaya tha usi state mein wapas jayega, iska matlab yeh nahi ki aapka phone pehle ki tarah bilkul new ho jayega 😉 only phone system mein changes aayenge aur jitne bhi internal storage mein files honge woh sabhi delete ho jayenge sath mein aapke music, video, image, document etc. bhi delete ho jayenge isliye apne phone ka backup banana bahut jaruri hai
So ab yeh jante hai ki phone format ka kya fayda hota hai. Phone format karne ke bahut se fayde hai jaise ki aapka phone apne original state mein aa jata hai jis wajah se aapka phone hang nahi hota aur aapke phone mein jitne bhi virus hote hai woh bhi delete ho jate hai. Agar aapke phone mein pattern lock laga hua hai aur aap unlock pattern bhul chuke ho toh hard karte hi pattern lock hat jayega. Bahut baar humara phone brick ho jata hai uss condition mein bhi phone format karke phone ko unbrick kiya ja sakta hai. Itna hi nahi agar phone mein bahut kam space bacha ho tab bhi format karna helpful sabit hota hai
Ab jante hai ki phone format karne ke kya nuksan ho sakte hai. Phone format karne ka ek hi nuksan hai woh yeh hai ki aapke mobile ke sabhi data delete ho jate hai aur aapka mobile apne original state mein aa jata hai isliye main har user ko recommend karunga ki apne phone ka backup jarur banale tabhi format kare nahi toh aapke sabhi files delete ho jayenge aur aap unn files ko kabhi recover bhi nahi kar sakte
Android Phone Format Kaise Kare:
Method 1: Using Default Settings
Yeh jo first method main aap sabhi ke sath share karne ja raha hu yeh unke liye hai jinhe apne phone ka space badhana hai. Yeh method woh log bhi perform kar sakte hai jinhe apna phone pehle ki tarah fast karna hai aur virus free karna hai. Agar aap apne phone ke settings mein ja sakte ho tabhi yeh method work karega
1) Sabse pehle apne phone ke settings mein jaye
2) Settings ke andar aapko factory data reset ka option dikhai dega uspe click kare. Agar aap kitkat version use karte ho toh backup & reset ka option show hoga isi tarah se dusre versions mein option name alag ho sakta hai lekin kaam sabhi ka same hai
3) Iss option ke andar aap backup account choose kar sakte ho aur factory reset bhi perform kar sakte ho. Backup option ki madad se aap app data, wifi passwords, other settings ka backup apne gmail account mein save kar sakte ho iske liye back up my data option enable kare aur backup account select kare. Sabse neeche factory data reset ka option show hoga uspe click kare
4) Iss option mein aapko simply reset phone ke option par click karna hai. Agar aap SD Card bhi format karna chahte ho toh erase sd card option par click kare
5) Agar aapne apne phone par koi password/pattern lock laga rakha hoga toh usey enter kare. Agar aapne koi password/pattern lock nahi laga rakha toh yeh step ignore karde
6) Yeh final step hai iss step mein aapko simple erase everything option par click karna hai
7) Aapka phone automatically switch off ho jayega aur recovery mode mein aapka phone reset hone lagega yeh kuch minute le sakta hai isliye ghabrane ki koi jarurat nahi hai
9) Aapka phone ab format ho chuka hai8) Jab reset complete ho jayegi tab aapka phone automatically restart ho jayega
Method 2: Using Recovery Mode
Aap iss second method se bhi apne phone ko format kar sakte ho lekin yeh method unke liye helpful hai jo apne phone ke settings mein nahi ja sakte. Agar main seedhe words mein bolu toh yeh option unn logo ke liye hai jinka phone brick ho chuka hai. Yeh method woh log bhi follow kar sakte hai jinhe apne phone ka pattern lock todna hai
1) Sabse pehle apne phone ko switch off kare. Agar phone switch nahi ho raha toh phone ki battery nikal de
2) Ab apne phone ke recovery mode mein jaye. Agar aap samsung user ho toh volume up+home+power button ek sath press kare aur aap recovery mode mein aa jaoge. Agar aap kisi aur brand ka phone use karte ho toh volume up+power button ek sath press kare aur aap recovery mode mein aa jaoge
3) Recovery mode ke andar touch kaam nahi karta isliye volume up button se aap arrow move kar sakte ho aur volume down button se kisi bhi option ko select kar sakte ho
4) Recovery mode mein aapko wipe data/factory reset wale option ko select karna hai
5) Ab ek new screen open hogi yaha se aap apne phone ko puri tarah format kar sakte ho. Bas aapko karna yeh hai ki yes delete all user data option par click karna hai aur aapka phone kuch second mein reset ho jayega
6) Ab reboot system now ke option ko select kare aur aapka phone reboot ho jayega
7) Ab aapka phone format ho chuka hai
1 comments:
Write commentsbohut achi post hai
ReplySEO kya hai aur Website Kaise Rank Karein Puri Jaankari
EmoticonEmoticon