Android Phone Safely Update Kaise Kare

Hey friends aap sabhi ko pata hi hoga ki har chij ko update karne ki jarurat padti hai taki usme improvement aaye usi tarah Android ko bhi update karne ki jarurat padti hai taki hum apne phone mein new version use kar sake jo pichle version jyada achha aur behtar ho. Android update karne se hamein new features apne phone mein milte hai isliye har koi apne phone ko update karna chahta hai lekin logo ko pata nahi hota ki sahi tarika kya hota hai phone ko update karna ka. So friends aaj hum iss post mein yeh janenge ki phone update karne se pehle kaunsi savdhaniyaa apnani chahiye taki baad mein koi problem face na karni pade. So friends chaliye jante hai android phone safely update kaise kare
update mobile phone
Bahut se logo ko maine dekha hai jo ki apna phone direct update kar lete hai jiske wajah se unka phone kharab ho jata hai jaise ki thik se kaam nahi karta, brick ho jata hai, open nahi hota, touch kaam nahi karta, display kharab ho jata hai aur bhi isi tarah ki bahut si problems uhne face karni padti hai. Agar aap phone update karne se pehle kuch savdhaniya apnaye toh main yeh gurantee ke saath keh sakta hu ki aisi koi problem aapko face nahi karni padegi. Iss post mein maine woh saare important points bataaye hai jinhe agar aap apnao toh safely aapka mobile phone update ho jayega

Android Phone Update Kaise Check Kare:

Sabse pehle toh aapko yeh check karna hai ki aapke device ke liye update available hai ya nahi. Agar aapko nahi pata ki yeh kaise check karte hai toh chinta ki koi baat nahi maine neeche 2 methods diye hai inme se koi ek try kare
Method 1:
1) Apne mobile ke settings mein jaye
2) Sabse neeche ek option hoga About phone ka uspe click kare
3) Ab system update option pe click kare. Bahut se phone mein yeh option wireless update ke naam se bhi jana jata hai

5) Agar update available hoga toh package download karne ka option aa jayega. Agar update available nahi hoga toh kuch iss tarah ka message show hoga your phone is up-to-date ho sakta yeh message aapke phone mein kisi alag tarah se show kare lekin inn sabhi ka matalab same hota hai4) Check for update ke option pe click kare
Method 2:
1) Phone ka keypad mein jaye
2) Ab yeh code dial kare *#*#2432546#*#*

Agar aapka mobile rooted hai toh aap officially apne mobile ko update nahi kar sakte waise kuch phones mein aisa possible hai lekin sabhi phones mein nahi. So agar aap apne phone ko rooted hone ke wajah se update nahi kar pa rahe ho toh don’t worry main iska solution aap sabhi ko bata deta hu. Sabse pehla tarika toh yeh hai ki apne phone ko unroot karo. Second tarika yeh hai ki aap apne phone mein custom rom install kar sakte ho iske liye apne phone ke model number ke sath google pe custom rom likhkar search kare aur usey download kare. Custom rom ko install karne ke liye isey recovery mode mein flash karna hota hai main iss topic pe jald hi post likhne wala hu, please wait3) Agar update available hoga toh show ho jayega kuch seconds baad aapke staus bar mein. Yaad rahe aapke mobile mein internet on ho tabhi update ka pata kar sakte ho

Android Phone Update Kyu Kare:

Dosto android phone update karne se pehle yeh janana bahut jaruri hai ki hum apna phone update kyu kare aur iska kya fayda hai, So iss post ko start karne se pehle hum yeh janenge ki android phone update kyu kare
1) Bahut baar humara phone lag karta hai aur jaldi hang ho jata hai waise iske bahut se wajah ho sakte hai lekin sabse badi wajah yeh hoti hai ki aapke phone mein update available hota hai aur aap isey update karna nahi chahte
2) Bahut baar jo company mobile banati hai tab mistakely unke software mein kuch bugs reh jate hai jiske wajah se aapka phone koi hacker easily hack kar sakta hai. Agar aap uss bug ko fix karna chahte ho toh apna phone jarur update kare

Android Phone Safely Update Kaise Kare:
3) Android har saal new version release karta hai new features aur new look ke sath. Agar aap bhi apne phone mein new version install karna chahte ho toh apna phone jarur update kare
1) Phone update karne se pehle ek baat ka dhyan rakhe ki aapne apna device at least 70% charge kar rakha hai. Agar aapka phone charge nahi hoga toh update ke dauran switch off hone ke chances jyada hai jiske wajah se update beech mein hi fail ho jayega aur aapka device bhi kharab ho sakta hai. Ek baat ka aur dhyan rakhe ki update karte time aapka device charging mein na laga ho nahi toh device burst bhi ho sakta hai
2) Update ke dauran ghabrane ki jarurat bilkul nahi hai kyuki device update hote time bahut baar reboot bhi ho sakta hai aise condition mein log sochte hai ki unka phone kharab ho gaya hai aur woh battery nikaal ke fir se usey phone mein daalte hai aur phone switch on karne ki kosish karte hai lekin mostly cases mein aisa karne pe device ka software corrupt ho jata aur woh mobile switch on nahi hota isliye friends aisa na hi kare toh behtar hoga
3) Wifi sabse accha tarika hai phone upgrade karne ka aisa main isliye keh raha hu kyuki jyadatar log apna data connection use karte hai. Aapke mann mein ab yeh question jarur aa raha hoga ki “data connection mein kya problem hai jo wifi use kare” ? So friends main aapko bata du ki data connection jyada trustable nahi hai kyuki mobile network kabhi bhi stable nahi hota hamesha kam jyada hota rehta hai aur aisa condition mein yeh bhi possible hai ki update ke beech mein hi data band ho jaye network na hone ke wajah se jiske kaaran pura upgrading process ruk jayega. Second reason yeh bhi hai ki agar aapka data pack limited hua aur upgrade ke beech mein hi data khatam jo jaayega toh pura upgrading process wahi ruk jayega aur phone bhi kharab ho sakta hai
4) Phone ko upgrade karne se pehle uska full backup jarur banale nahi toh data loss bhi ho sakta hai. Sab apne mobile mein personal photos, videos etc. rakhte hai jinse unki kuch yaade bhi judi hoti hai aur woh nahi chahte ki unke phone se yeh delete ho. So friends mobile upgrade hote time data loss ka bhi khatra bana rehta hai isliye apne mobile ka full backup banake kahi store karle taaki baad mein upgrade hone ke baad usey restore kar sake
5) Ab time hai device ko factory reset karne ka taaki upgrade ke dauran mobile mein koi gadbadi na ho. Factory reset aap bahut aasani se kar sakte ho iske liye sabse pehle settings mein jaye aur backup & reset pe click kare wahi pe factory reset ka option hoga uspe click karke aap factory reset kar sakte ho

Final Words:

So friends aaj humne jana ki android phone ko safely update kaise kare. Agar aap iss post ko acche se follow karte ho toh aapka phone bina kisi problem ke easily update ho jayega. Dosto mere hisab se agar aapke mobile mein update available hai toh apne mobile ko abhi update kare aur new features ka maza le. Agar aapko humara yeh post pasand aaya ho toh please isey jarur share kare
Previous
Next Post »