Android phone aur pc ke beech file transfer kaise kare ? Aap sabhi jante ho aajkal ki technology pahle se jyada advance ho gayi hai har chij yaha tak ki pahle kisi ne yeh bhi nahi socha hoga ki mobile par HD games bhi khele jayenge. So friends ab hum apne topic par aate hai jo aapke file transfer karne ke tarike ko advance kar degi. Hum pahle bhi aur aaj bhi jab koi file PC aur android phone ke beech transfer karte hai toh jyadatar log cable ka use karte hai jo dekha jaye toh ab bahut purana tarika ho gaya hai. Aaj main aapko aisi trick bataunga jisko padhne ke baad aap pc aur android phone ke beech file transfer easily kar sakte ho bina kisi cable aur bina internet use kiye. So friends chaliye jante hai android phone aur pc ke beech file transfer kaise kare
Ab files transfer karna bahut aasan ho gaya hai iske liye aapko kisi bhi connection ki jarurat nahi padegi. Aajkal ke mostly sharing apps mein file transfer ke liye internet connectivity ki jarurat padti hai lekin aaj jo main aapko trick bataunga uska use aap bina internet ke bhi aaisa kar sakte ho. Bas aapko iske liye apne mobile phone mein file manager naam ka application install karna hoga aur PC ke liye kisi bhi software ki jarurat nahi hai. File manager application play store par free available hai jiska matlab ki aap isey bina paise pay kiye bhi apne phone mein install kar sakte ho. I hope aap sabhi ke liye yeh post helpful hogi aur aap apna sawaal mujhse comment box mein puch sakte ho
Sabse pehle toh iss trick ke fayde jaan lete hai kyuki file transfer ke toh bahut se tarike hai fir iss post ko follow kyu karna ? Sabse pehla fayda yeh ki file transfer karne ke liye aapko kisi cable ki jarurat nahi padti yeh wireless tarika hai. Dusra fayda yeh hai ki aap PPC & Android Phone ke beecha files download/upload kar sakte ho. Aapko jankar hairani hogi ki yeh offline bhi kaam karta hai matlab bina internet connection ke use kiye. Jab bhi aap file transfer karte ho uski speed normal speed se kafi tez hoti hai. Ab chaliye jante hai android phone aur pc ke beech file transfer kaise kare
Android Phone Aur PC Ke Beech File Transfer Kaise Kare:
1) Sabse pahle apne android smartphone mein file manager application install kare. Aap iss application ko yaha se bhi install kar sakte ho
2) Ab apne phone mein wifi hotspot enable kare aur apne pc ko wifi hotspot se connect kare. Aap aisa tab bhi kar sakte ho jab aapke phone mein internet available na ho
3) File manager application ko open kare
4) Neeche scroll kare aur sabse end mein aapko ek option dikhai dega PC file transfer aur aapko isi option par click karna hai
5) Start button par click kare jaisa ki aap neeche screenshot mein dekh sakte ho
6) Ab aapko apne screen par http address show hoga aapko iss address ko apne PC browser mein open karna hai. Main google chrome/mozilla firefox browser recommend karunga
7) Hurray ! Ab aap apne phone ke external aur internal memory dono ko apne PC par access kar sakte ho. Aap kisi bhi file ko apne mobile se PC par transfer kar sakte ho. Aap chaho toh PC ke files bhi apne phone mein transfer kar sakte ho
Final Words:
So friends i hope aapne humara post jarur enjoy kiya hoga. Yeh post bahut hi simple hai lekin isme bahut jaruri jankari maine aap sabhi ke sath share ki hai. Jab aap USB, Card Reader, Pendrive etc. ki madad se file transfer karte ho usme bahut time lag jata hai so yeh post aapko apne time ko bachane mein madad karega aur big size files bhi aap kuch seconds mein transfer kar sakte ho. Agar aapko humara yeh post pasand aaya ho toh please isey share jarur kare
EmoticonEmoticon