Play Store Insufficient Storage Error Kaise Fix Kare

Hey friends aaj main aapko iss post mein kuch aise tips bataunga jinse aap play store downloading error insufficient Storage fix kar sakte ho. Yeh android phone ka ek aisa problem hai jo ki jyadatar android users ko face karna padta hai lekin woh kehte hai na ki har problem ka koi na koi solution jarur hota hai usi tarah iss problem ka bhi solution hai jo ki main aapko iss post achhi tarah bataunga. In most cases yeh problem woh log jyada face karte hai jo big sizes ke games & apps play store se install karte rehte hai chahe woh unke liye useless kyu na ho
insufficient storage

Fix Google Play Insufficient Storage Error:

#Uninstall Apps & Games:
Jaisa ki maine aapko upar bataya yeh problem woh log jyada face karte hai jinhe big sizes ke games & apps install karne ka shoq hota hai chahe woh unke liye useless kyu na ho. Har android phone mein limited space hota hai agar aap uss space ko cross kar lete ho toh play store se kuch install karte waqt aapko insufficient storage problem face karna padta hai isi liye main aapko sabse pehle yeh suggest karunga ki jitne bhi useless apps & games aapke phone mein installed hai jinki aapko jarurat nahi hai unhe uninstalled karde
#Move Apps to SD Card:
Agar aapka phone storage jyada nahi hai toh aapko applications install karne mein problem ho sakti hai. Phone storage ka space badhane ke liye aap sabse pehle yeh follow kare Settings>> Apps>> Application select kare>> Move to SD Card pe click kare. Ab woh application aapke SD card (Memory card) mein move ho jayega aisa karne se aapke phone storage mein space badhyega aur aap aasani se yeh problem fix kar paoge
#Clean Junk Files:
Junk files matlab कचरा aur kachra koi pasand nahi karta chahe woh phone ka ho ya kisi aur chij ka iss liye jaruri hai ki aap junk files aapne phone se clear karde. Junk files clear karne ke liye play store pe bohut se applications available hai lekin main aapko clean master suggest karunga kyuki clean master se aap bohut se task perform kar sakte ho jo ki aapke phone ko fast, smoother & junk free bana sakte ho

Agar aapke phone ka play store updated nahi hai tab bhi aapko yeh problem face karna pad sakta hai. Play store waise toh automatically update ho jata hai lekin bohut se phones mein manually update karna padta hai. Play store ko manually update karne ke liye aap play store open karke settings mein jaye waha par aapko Build version ka option dikhai dega uspe click kare. Agar “A new version of Google Play Store will be downloaded and installed” ka message show hota hai toh iska matlab aapke phone ka play store updated nahi hai isey update karne ke liye aap Ok button pe click kare aur yeh update hona start jayega. Agar “Google Play Store is up to date” ka message show hota hai toh iska matlab yeh already updated hai aur isey update ki koi jarurat nahi hai#Update Play Store

Final Words:

So friends inn sabhi ko tips ko follow karke aap play store downloading error insufficient storage ko fix kar sakte ho. Aapne jaisa post mein padha insufficient storage problem ko hum bahut se tariko se thik kar sakte hai aapko jo bhi tarika pasand aaye usey follow karo. Agar aapko humara post pasand aaya ho toh please isey share jarur kare
Previous
Next Post »